कुल पेज दृश्य

शनिवार, 21 फ़रवरी 2015

BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA

BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA.

Khushiyo ka khazana hota tha.

Chahat chaand ko pane ki,

dil titli ka diwana hota tha.

Khabar na thi kuch subah ki,

na shaamo ka thikana hota tha.

Thak-haar k aana school se

par khelne b jana hota tha

Dadi ki kahani hoti thi

pariyo ka fasana hota tha

Barish me kagaz ki kashti thi

Har mausam suhana hota tha

Har khel me sathi hote the

Har rishta nibhana hota tha

Papa ki wo daate galti par

Mummy ka manana hota tha

Gam ki juban na hoti thi

na jakhmo ka paimana hota tha

Rone ki wajah na hoti thi

na hasne ka bahana hota tha

Ab nahi rhi wo zindgi...jaisa BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA.

Taken from
www.coolindiansms.blogspot.in

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें